Wednesday, March 19, 2014

Ghazal : By- Irfan Nasirabadi


         hota hai zaalimo.n ,,ki duaa me aser kahiN
         sookhe huye sajar pa phale haiN samer kahin

  manzil to samne hai mager sochta hun main
  dhoka na de de mujhko meri rah-guzer kahiN


          tu bastiyaN basane me masroof hai mager
          barbaad ho na jaaye tera apna ghar kahin


  ek din tumhare dil me bhi woh ghar banayega
  rukte haiN ek jagah pa bhala fitnager kahin


          sahra ki khak chan raha hun main ishq me
          woh bhi to hoga mere liye dar-b-dar kahin


   jab se mili hai uski nazar se meri nazar
   pata nahin hun tab se main apni khaber kahin


            rustam ki daastan sunaane se kya mila
            jata hai buzdiloN ke diloN se bhi dar kahin


 jo sar kata ke zum ka ser kaat le gaye-------sp
 sadiyoN me paida hote hain aise basher kahin


             nikla hai haq bachane,,,, kate sar ka qafila
             dekha hai kya hayaat ne aisa safer kahin


 irfan* tumko kho ke yahi sochta hoon main
 mujhko yeh gham rulaaye na ab umr bher kahiN
                                     
              "Irfan nasirabadi"


No comments:

Post a Comment